Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhitar basne wala KHud bahar ki sair kare maula KHair kare

Bekal Utsahi

bhitar basne wala KHud bahar ki sair kare maula KHair kare

Bekal Utsahi

MORE BYBekal Utsahi

    bhītar basne vaalā ḳhud bāhar sair kare maulā ḳhair kare

    ik mūrat ko chāhe phir ka.abe ko dair kare maulā ḳhair kare

    ishq-vishiq ye chāhat-vāhat man bhulāvā phir man bhī apnā kyā

    yaar ye kaisā rishta jo apnoñ ko ġhair kare maulā ḳhair kare

    ret tuudā āñdhī faujoñ par tiir chalā.e Tahnī peḌ chabā.e

    chhoTī machhlī dariyā meñ ghaḌiyāl se bair kare maulā ḳhair kare

    soch ki kāfir har mūrat pe jaan chhiḌaktā hai bin paañv thiraktā hai

    man musalmāñ ab qible jānib pair kare maulā ḳhair kare

    fikr chaak pe maaTī shakl badaltā hai ḳhud Dhaltā hai

    'bekal' be-par lafzoñ taḳh.īl ko tair kare maulā ḳhair kare

    bhitar basne wala KHud bahar ki sair kare maula KHair kare

    ek murat ko chahe phir kabe ko dair kare maula KHair kare

    ishq-wishiq ye chahat-wahat man ka bhulawa phir man bhi apna kya

    yar ye kaisa rishta jo apnon ko ghair kare maula KHair kare

    ret ka tuda aandhi ki faujon par tir chalae Tahni peD chabae

    chhoTi machhli dariya mein ghaDiyal se bair kare maula KHair kare

    soch ki kafir har murat pe jaan chhiDakta hai bin panw thirakta hai

    man ka musalman ab qible ki jaanib pair kare maula KHair kare

    fikr ki chaak pe maTi ki tu shakl badalta hai ya KHud hi Dhalta hai

    'bekal' be-par lafzon ki taKHil ko tair kare maula KHair kare

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now