bhar do jahan mein apni wafaon ki aab-o-tab
bhar do jahāñ meñ apnī vafāoñ kī āb-o-tāb
miT jaa.e tā-ki naqlī ḳhudāoñ kī āb-o-tāb
dil ko agar banā leñ mohabbat kā aa.ina
miT jā.egī jahāñ se jafāoñ kī āb-o-tāb
ham log bhuul jaa.eñ agar apne iḳhtilāf
hogī jahāñ se ḳhatm balāoñ kī āb-o-tāb
rakhnā hai gar ravāñ-davāñ insān kā dimāġh
qaa.em rahe hamesha sadāoñ kī āb-o-tāb
ye hai tabīb-e-vaqt kā is daur meñ kamāl
hai sūd-mand aaj davāoñ kī āb-o-tāb
tābinda ye rahī hai rahegī tamām 'umr
mā'dūm kab rahī hai du'āoñ kī āb-o-tāb
ab fard-e-sāda-lauh kā jiinā muhāl hai
'ātish' 'urūj par hai adāoñ kī āb-o-tāb
bhar do jahan mein apni wafaon ki aab-o-tab
miT jae ta-ki naqli KHudaon ki aab-o-tab
dil ko agar bana len mohabbat ka aaina
miT jaegi jahan se jafaon ki aab-o-tab
hum log bhul jaen agar apne iKHtilaf
hogi jahan se KHatm balaon ki aab-o-tab
rakhna hai gar rawan-dawan insan ka dimagh
qaem rahe hamesha sadaon ki aab-o-tab
ye hai tabib-e-waqt ka is daur mein kamal
hai sud-mand aaj dawaon ki aab-o-tab
tabinda ye rahi hai rahegi tamam 'umr
ma'dum kab rahi hai du'aon ki aab-o-tab
ab fard-e-sada-lauh ka jina muhaal hai
'atish' 'uruj par hai adaon ki aab-o-tab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.