kabhi doston ke sitam yaad aae
kabhī dostoñ ke sitam yaad aa.e
kabhī dushmanoñ ke karam yaad aa.e
jo suljhāne nikle kabhī uljhanoñ ko
hameñ un kī zulfoñ ke ḳham yaad aa.e
jo dair-o-haram se kalīsā se guzre
hameñ bhūle bisre sanam yaad aa.e
usī ke ġhamoñ kā mudāvā huā hai
jinheñ ġham meñ shāh-e-umam yaad aa.e
kahāñ se kahāñ aa gaye chal ke 'maikash'
jahāñ hādse dam-ba-dam yaad aa.e
kabhi doston ke sitam yaad aae
kabhi dushmanon ke karam yaad aae
jo suljhane nikle kabhi uljhanon ko
hamein un ki zulfon ke KHam yaad aae
jo dair-o-haram se kalisa se guzre
hamein bhule bisre sanam yaad aae
usi ke ghamon ka mudawa hua hai
jinhen gham mein shah-e-umam yaad aae
kahan se kahan aa gaye chal ke 'maikash'
jahan hadse dam-ba-dam yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.