hasti fana mein hai ki baqa mein pata mile
hastī fanā meñ hai ki baqā meñ patā mile
ham jū-e-kohsār the dariyā meñ jā mile
jā.ūñ kidhar ki dasht-e-tamannā meñ har taraf
mujh ko ḳhud apne naqsh-e-qadam jā-ba-jā mile
har baar un se pahlī mulāqāt kā gumāñ
har martaba ye vahm ki ham bārhā mile
dil-sāz dard-o-ġham hī sahī chheḌ kar to dekh
mumkin hai us meñ tujh ko ḳhud apnī sadā mile
ham ko haram meñ bhī na rahā bandagī kā hosh
DhūñDā kiye ki un kā kahīñ naqsh-e-pā mile
maiñ aur jamāl-e-dost kī tauhīn al-amāñ
kaise kahūñ ki ik dil-e-be-mudda'ā mile
yādoñ kā silsila hai ki ashk-e-ravāñ 'zafar'
the kaise kaise dost jo miTTī meñ jā mile
hasti fana mein hai ki baqa mein pata mile
hum ju-e-kohsar the dariya mein ja mile
jaun kidhar ki dasht-e-tamanna mein har taraf
mujh ko KHud apne naqsh-e-qadam ja-ba-ja mile
har bar un se pahli mulaqat ka guman
har martaba ye wahm ki hum barha mile
dil-saz dard-o-gham hi sahi chheD kar to dekh
mumkin hai us mein tujh ko KHud apni sada mile
hum ko haram mein bhi na raha bandagi ka hosh
DhunDa kiye ki un ka kahin naqsh-e-pa mile
main aur jamal-e-dost ki tauhin al-aman
kaise kahun ki ek dil-e-be-mudda'a mile
yaadon ka silsila hai ki ashk-e-rawan 'zafar'
the kaise kaise dost jo miTTi mein ja mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.