Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan

Ahmad Faraz

ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan

Ahmad Faraz

ab ke tajdīd-e-vafā nahīñ imkāñ jānāñ

yaad kyā tujh ko dilā.eñ tirā paimāñ jānāñ

yūñhī mausam adā dekh ke yaad aayā hai

kis qadar jald badal jaate haiñ insāñ jānāñ

zindagī terī atā thī so tire naam hai

ham ne jaise bhī basar tirā ehsāñ jānāñ

dil ye kahtā hai ki shāyad hai fasurda bhī

dil kyā baat kareñ dil to hai nādāñ jānāñ

avval avval mohabbat ke nashe yaad to kar

be-piye bhī tirā chehra thā gulistāñ jānāñ

āḳhir āḳhir to ye aalam hai ki ab hosh nahīñ

rag-e-mīnā sulag uTThī ki rag-e-jāñ jānāñ

muddatoñ se yahī aalam na tavaqqo na umiid

dil pukāre chalā jaatā hai jānāñ jānāñ

ham bhī kyā saada the ham ne bhī samajh rakkhā thā

ġham-e-daurāñ se judā hai ġham-e-jānāñ jānāñ

ab ke kuchh aisī sajī mahfil-e-yārāñ jānāñ

sar-ba-zānū hai koī sar-ba-garebāñ jānāñ

har koī apnī āvāz se kaañp uThtā hai

har koī apne saa.e se hirāsāñ jānāñ

jis ko dekho vahī zanjīr-ba-pā lagtā hai

shahr shahr huā dāḳhil-e-zindāñ jānāñ

ab tirā zikr bhī shāyad ġhazal meñ aa.e

aur se aur hue dard ke unvāñ jānāñ

ham ki rūThī huī rut ko bhī manā lete the

ham ne dekhā na thā mausam-e-hijrāñ jānāñ

hosh aayā to sabhī ḳhvāb the reza reza

jaise uḌte hue aurāq-e-pareshāñ jānāñ

ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan

yaad kya tujh ko dilaen tera paiman jaanan

yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai

kis qadar jald badal jate hain insan jaanan

zindagi teri ata thi so tere nam ki hai

hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan

dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi

dil ki kya baat karen dil to hai nadan jaanan

awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar

be-piye bhi tera chehra tha gulistan jaanan

aaKHir aaKHir to ye aalam hai ki ab hosh nahin

rag-e-mina sulag uTThi ki rag-e-jaan jaanan

muddaton se yahi aalam na tawaqqo na umid

dil pukare hi chala jata hai jaanan jaanan

hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakkha tha

gham-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan jaanan

ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran jaanan

sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban jaanan

har koi apni hi aawaz se kanp uThta hai

har koi apne hi sae se hirasan jaanan

jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai

shahr ka shahr hua daKHil-e-zindan jaanan

ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aae

aur se aur hue dard ke unwan jaanan

hum ki ruThi hui rut ko bhi mana lete the

hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanan

hosh aaya to sabhi KHwab the reza reza

jaise uDte hue auraq-e-pareshan jaanan

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Aqib Sabir

Aqib Sabir

Tahira Syed

Tahira Syed

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now