diya sa dil ke KHarabe mein jal raha hai miyan
diyā sā dil ke ḳharābe meñ jal rahā hai miyāñ
diye ke gird koī aks chal rahā hai miyāñ
ye ruuh raqs-e-charāġhāñ hai apne halqe meñ
ye jism saaya hai aur saaya Dhal rahā hai miyāñ
ye aañkh parda hai ik gardish-e-tahayyur kā
ye dil nahīñ hai bagūla uchhal rahā hai miyāñ
kabhī kisī kā guzarnā kabhī Thahar jaanā
mire sukūt meñ kyā kyā ḳhalal rahā hai miyāñ
kisī kī raah meñ aflāk zer-e-pā hote
yahāñ to paañv se sahrā nikal rahā hai miyāñ
hujūm-e-shoḳh meñ ye dil hī be-ġharaz niklā
chalo koī to harīfāna chal rahā hai miyāñ
tujhe abhī se paḌī hai ki faisla ho jaa.e
na jaane kab se yahāñ vaqt Tal rahā hai miyāñ
tabī.atoñ hī ke milne se thā maza baaqī
so vo maza bhī kahāñ āj-kal rahā hai miyāñ
ġhamoñ kī fasl meñ jis ġham ko rā.egāñ samjhe
ḳhushī to ye hai ki vo ġham bhī phal rahā hai miyāñ
likhā 'nasīr' ne har rang meñ safed-o-siyāh
magar jo harf lahū meñ machal rahā hai miyāñ
diya sa dil ke KHarabe mein jal raha hai miyan
diye ke gird koi aks chal raha hai miyan
ye ruh raqs-e-charaghan hai apne halqe mein
ye jism saya hai aur saya Dhal raha hai miyan
ye aankh parda hai ek gardish-e-tahayyur ka
ye dil nahin hai bagula uchhal raha hai miyan
kabhi kisi ka guzarna kabhi Thahar jaana
mere sukut mein kya kya KHalal raha hai miyan
kisi ki rah mein aflak zer-e-pa hote
yahan to panw se sahra nikal raha hai miyan
hujum-e-shoKH mein ye dil hi be-gharaz nikla
chalo koi to harifana chal raha hai miyan
tujhe abhi se paDi hai ki faisla ho jae
na jaane kab se yahan waqt Tal raha hai miyan
tabiaton hi ke milne se tha maza baqi
so wo maza bhi kahan aaj-kal raha hai miyan
ghamon ki fasl mein jis gham ko raegan samjhe
KHushi to ye hai ki wo gham bhi phal raha hai miyan
likha 'nasir' ne har rang mein safed-o-siyah
magar jo harf lahu mein machal raha hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.