chalo ab ishq mein aisa karen hum
chalo ab 'ishq meñ aisā kareñ ham
chalo ab 'ishq se tauba kareñ ham
hazāroñ saal jo sochā gayā hai
use kyā soch kar sochā kareñ ham
kitāb-e-hijr ke suune varaq par
tumhārā naam kyuuñ likkhā kareñ ham
zarūrī kyā ki har din ḳhvāb dekheñ
zarūrī kyā ki phir pīchhā kareñ ham
bichhaḌte vaqt vo royā nahīñ thā
kisī kā jhūTh kyuuñ pakḌā kareñ ham
yahī ik jhūTh sab kā aasrā hai
tire hone pe kyā charchā kareñ ham
musalsal hai hamārī be-niyāzī
kisī se kyā bhalā shikva kareñ ham
badalnā vaqt kī tāsīr hai par
rivāyat ke liye ab kyā kareñ ham
chalo ab 'ishq mein aisa karen hum
chalo ab 'ishq se tauba karen hum
hazaron sal jo socha gaya hai
use kya soch kar socha karen hum
kitab-e-hijr ke sune waraq par
tumhaara nam kyun likkha karen hum
zaruri kya ki har din KHwab dekhen
zaruri kya ki phir pichha karen hum
bichhaDte waqt wo roya nahin tha
kisi ka jhuTh kyun pakDa karen hum
yahi ek jhuTh sab ka aasra hai
tere hone pe kya charcha karen hum
musalsal hai hamari be-niyazi
kisi se kya bhala shikwa karen hum
badalna waqt ki tasir hai par
riwayat ke liye ab kya karen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.