Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din mein is tarah mere dil mein samaya suraj

Azad Gulati

din mein is tarah mere dil mein samaya suraj

Azad Gulati

MORE BYAzad Gulati

    din meñ is tarah mire dil meñ samāyā sūraj

    raat āñkhoñ ke ufuq par ubhar aayā sūraj

    apnī to raat bhī jalte kaTī din tarah

    raat ko so to gayā din satāyā sūraj

    sub.h niklā kisī dulhan damak ruḳh pe liye

    shaam Duubā kisī beva bujhāyā sūraj

    raat ko maiñ mirā saayā the ikaTThe donoñ

    le gayā chhīn ke din ko mirā saayā sūraj

    din guzartā na thā kam-baḳht tanhā jalte

    vādī-e-shab se mujhe DhūñD ke laayā sūraj

    ne jis din se mujhe sauñp diyā zulmat ko

    tab se din meñ bhī na mujh ko nazar aayā sūraj

    āsmāñ ek sulagtā huā sahrā hai jahāñ

    DhūñDhtā phirtā hai ḳhud apnā saayā sūraj

    din ko jis ne hameñ nezoñ pe chaḌhā.e rakkhā

    shab ko ham ne vahī palkoñ pe sulāyā sūraj

    din mein is tarah mere dil mein samaya suraj

    raat aankhon ke ufuq par ubhar aaya suraj

    apni to raat bhi jalte hi kaTi din ki tarah

    raat ko so to gaya din ka sataya suraj

    subh nikla kisi dulhan ki damak ruKH pe liye

    sham Duba kisi bewa sa bujhaya suraj

    raat ko main mera saya the ikaTThe donon

    le gaya chhin ke din ko mera saya suraj

    din guzarta na tha kam-baKHt ka tanha jalte

    wadi-e-shab se mujhe DhunD ke laya suraj

    tu ne jis din se mujhe saunp diya zulmat ko

    tab se din mein bhi na mujh ko nazar aaya suraj

    aasman ek sulagta hua sahra hai jahan

    DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj

    din ko jis ne hamein nezon pe chaDhae rakkha

    shab ko hum ne wahi palkon pe sulaya suraj

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now