Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela

Rajinder Manchanda Bani

din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    din ko daftar meñ akelā shab bhare ghar meñ akelā

    maiñ ki aks-e-muntashir ek ek manzar meñ akelā

    uḌ chalā vo ik judā ḳhāka liye sar meñ akelā

    sub.h pahlā parinda āsmāñ bhar meñ akelā

    kaun de āvāz ḳhālī raat ke andhe kueñ meñ

    kaun utre ḳhvāb se mahrūm bistar meñ akelā

    us ko tanhā kar ga.ī karvaT koī pichhle pahar

    phir uḌā bhāgā vo saarā din nagar bhar meñ akelā

    ek maddham aañch āvāz sargam se alag kuchh

    rañg ik dabtā huā puure manzar meñ akelā

    boltī tasvīr meñ ik naqsh lekin kuchh haTā

    ek harf-e-mo'tabar lafzoñ ke lashkar meñ akelā

    jaao maujo merī manzil pata kyā pūchhtī ho

    ik jazīra duur uftāda samundar meñ akelā

    jaane kis ehsās ne aage nahīñ baḌhne diyā thā

    ab paḌā huuñ qaid maiñ raste ke patthar meñ akelā

    hū-ba-hū merī tarah chup-chāp mujh ko dekhtā hai

    ik laraztā ḳhūb-sūrat aks sāġhar meñ akelā

    din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela

    main ki aks-e-muntashir ek ek manzar mein akela

    uD chala wo ek juda KHaka liye sar mein akela

    subh ka pahla parinda aasman bhar mein akela

    kaun de aawaz KHali raat ke andhe kuen mein

    kaun utre KHwab se mahrum bistar mein akela

    us ko tanha kar gai karwaT koi pichhle pahar ki

    phir uDa bhaga wo sara din nagar bhar mein akela

    ek maddham aanch si aawaz sargam se alag kuchh

    rang ek dabta hua sa pure manzar mein akela

    bolti taswir mein ek naqsh lekin kuchh haTa sa

    ek harf-e-mo'tabar lafzon ke lashkar mein akela

    jao maujo meri manzil ka pata kya puchhti ho

    ek jazira dur uftada samundar mein akela

    jaane kis ehsas ne aage nahin baDhne diya tha

    ab paDa hun qaid main raste ke patthar mein akela

    hu-ba-hu meri tarah chup-chap mujh ko dekhta hai

    ek larazta KHub-surat aks saghar mein akela

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now