kuchh KHalal sa mere dimagh mein hai
kuchh ḳhalal sā mire dimāġh meñ hai
raunaq-e-husn sab ayāġh meñ hai
jis kī sāñsoñ kā lams pā na sakā
kyuuñ vo ab tak mire surāġh meñ hai
ruḳh pe ġhāza sajā hai kuchh aise
be-sabab jism-o-jān raaġh meñ hai
zaḳhm sūkhe to kyā huā yaaro
phuul jaisī mahak dimāġh meñ hai
vo zaġhan ko bhī maat de degā
hausla itnā ab ke zaaġh meñ hai
kuchh KHalal sa mere dimagh mein hai
raunaq-e-husn sab ayagh mein hai
jis ki sanson ka lams pa na saka
kyun wo ab tak mere suragh mein hai
ruKH pe ghaza saja hai kuchh aise
be-sabab jism-o-jaan ragh mein hai
zaKHm sukhe to kya hua yaro
phul jaisi mahak dimagh mein hai
wo zaghan ko bhi mat de dega
hausla itna ab ke zagh mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.