Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilon se dard dua se asar nikalta hai

Mohammad Mukhtar Ali

dilon se dard dua se asar nikalta hai

Mohammad Mukhtar Ali

diloñ se dard duā se asar nikaltā hai

ye kis bahisht jānib bashar nikaltā hai

paḌā hai shahr meñ chāñdī ke bartanoñ rivāj

so is azaab se ab kūza-gar nikaltā hai

miyāñ ye chādar-e-shohrat tum apne paas rakho

ki is se paañv jo Dhāñpeñ to sar nikaltā hai

ḳhayāl-e-gardish-e-daurāñ ho kyā use ki jo shaḳhs

girah meñ maañ duā bāñdh kar nikaltā hai

maiñ sañg-e-mīl huuñ patthar nahīñ huuñ raste

so kyuuñ zamāna mujhe rauñd kar nikaltā hai

mire suḳhan pe dād-e-suḳhan nahīñ detā

tirī taraf mirā qarz-e-hunar nikaltā hai

suḳhnvarān-e-qad-āvar meñ terā qad 'muḳhtār'

ajab nahīñ hai jo bālisht-bhar nikaltā hai

dilon se dard dua se asar nikalta hai

ye kis bahisht ki jaanib bashar nikalta hai

paDa hai shahr mein chandi ke bartanon ka riwaj

so is azab se ab kuza-gar nikalta hai

miyan ye chadar-e-shohrat tum apne pas rakho

ki is se panw jo Dhanpen to sar nikalta hai

KHayal-e-gardish-e-dauran ho kya use ki jo shaKHs

girah mein man ki dua bandh kar nikalta hai

main sang-e-mil hun patthar nahin hun raste ka

so kyun zamana mujhe raund kar nikalta hai

mere suKHan pe tu dad-e-suKHan nahin deta

teri taraf mera qarz-e-hunar nikalta hai

suKHnwaran-e-qad-awar mein tera qad 'muKHtar'

ajab nahin hai jo baalisht-bhar nikalta hai

Source :
  • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 09.11.2015)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now