Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle

Kishwar Naheed

dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle

Kishwar Naheed

dil ko bhī ġham salīqa na thā pahle pahle

us ko bhī bhūlnā achchhā lagā pahle pahle

dil thā shab-zād use kis rifāqat miltī

ḳhvāb tā'bīr se chhuptā rahā pahle pahle

pahle pahle vahī andāz thā dariyā jaisā

paas aa aa ke palaTtā rahā pahle pahle

aañkh ā.īnoñ hairat nahīñ jaatī ab tak

hijr ghaav bhī us ne diyā pahle pahle

khel karne ko bahut the dil-e-ḳhvāhish-dīda

kyuuñ havā dekh jalāyā diyā pahle pahle

umr-e-ā.inda ke ḳhvāboñ ko pyāsā rakkhā

fāsla paañv pakaḌtā rahā pahle pahle

nāḳhun-e-be-ḳhabarī zaḳhm banātā rahā

kū-e-vahshat meñ to rasta na thā pahle pahle

ab to us shaḳhs paikar bhī gul-e-ḳhvāb nahīñ

jo kabhī mujh meñ thā mujh jaisā thā pahle pahle

ab vo pyāsā hai to har buuñd bhī pūchhe nisbat

vo jo dariyāoñ pe hañstā rahā pahle pahle

vo mulāqāt mausam nahīñ aayā ab ke

jo sar-e-ḳhvāb sañvartā rahā pahle pahle

ġham dariyā mirī āñkhoñ meñ simaT kar pūchhe

kaun ro ro ke bichhaḌtā rahā pahle pahle

ab jo āñkheñ huiiñ sahrā to khulā har manzar

dil bhī vahshat ko tarastā rahā pahle pahle

maiñ thī dīvār to ab kis hai saaya tujh par

aisā sahrā-zada chehrā na thā pahle pahle

dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle

us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle

dil tha shab-zad use kis ki rifaqat milti

KHwab ta'bir se chhupta raha pahle pahle

pahle pahle wahi andaz tha dariya jaisa

pas aa aa ke palaTta raha pahle pahle

aankh aainon ki hairat nahin jati ab tak

hijr ka ghaw bhi us ne diya pahle pahle

khel karne ko bahut the dil-e-KHwahish-dida

kyun hawa dekh jalaya diya pahle pahle

umr-e-ainda ke KHwabon ko pyasa rakkha

fasla panw pakaDta raha pahle pahle

naKHun-e-be-KHabari zaKHm banata hi raha

ku-e-wahshat mein to rasta na tha pahle pahle

ab to us shaKHs ka paikar bhi gul-e-KHwab nahin

jo kabhi mujh mein tha mujh jaisa tha pahle pahle

ab wo pyasa hai to har bund bhi puchhe nisbat

wo jo dariyaon pe hansta raha pahle pahle

wo mulaqat ka mausam nahin aaya ab ke

jo sar-e-KHwab sanwarta raha pahle pahle

gham ka dariya meri aankhon mein simaT kar puchhe

kaun ro ro ke bichhaDta raha pahle pahle

ab jo aankhen huin sahra to khula har manzar

dil bhi wahshat ko tarasta raha pahle pahle

main thi diwar to ab kis ka hai saya tujh par

aisa sahra-zada chehra na tha pahle pahle

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Kishwar Naheed

Kishwar Naheed

RECITATIONS

Kishwar Naheed

Kishwar Naheed,

00:00/00:00
Kishwar Naheed

dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle Kishwar Naheed

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now