Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur

Arsh Malsiyani

dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur

Arsh Malsiyani

dil hotā hai taskīn ke aalam meñ hazīñ aur

le chal mujhe ai shauq-e-subuk-gām kahīñ aur

haañ aur uThā parde ko ai parda-nashīñ aur

mujh nahīñ koī tire jalvoñ amiiñ aur

jitnī vo mire haal pe karte haiñ jafā.eñ

aatā hai mujhe un mohabbat yaqīñ aur

mai-ḳhāne hai shaan usī shor-e-talab se

haañ aur nahīñ par hai taqāzā ki nahīñ aur

hai hāsil-e-sad-zīst javānī ye aalam

ai umr-e-gurezāñ mujhe rahne de yahīñ aur

mujh jo nahīñ aur koī chāhne vaalā

tujh bhī zamāne meñ nahīñ koī hasīñ aur

kaafī nahīñ mujh ko ye nigāh-e-ġhalat-andāz

haañ aur baḌhā hausla-e-qalb-e-hazīñ aur

takrār ai shaiḳh yahī to hai natīja

tum ne jo kahīñ aur to ham se bhī sunīñ aur

ham martaba-e-'arsh' koī un meñ na hogā

hoñge dar-e-jānāñ ke bahut ḳhāk-nashīñ aur

dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur

le chal mujhe ai shauq-e-subuk-gam kahin aur

han aur uTha parde ko ai parda-nashin aur

mujh sa nahin koi tere jalwon ka amin aur

jitni wo mere haal pe karte hain jafaen

aata hai mujhe un ki mohabbat ka yaqin aur

mai-KHane ki hai shan usi shor-e-talab se

han aur nahin par hai taqaza ki nahin aur

hai hasil-e-sad-zist jawani ka ye aalam

ai umr-e-gurezan mujhe rahne de yahin aur

mujh sa jo nahin aur koi chahne wala

tujh sa bhi zamane mein nahin koi hasin aur

kafi nahin mujh ko ye nigah-e-ghalat-andaz

han aur baDha hausla-e-qalb-e-hazin aur

takrar ka ai shaiKH yahi to hai natija

tum ne jo kahin aur to hum se bhi sunin aur

hum martaba-e-'arsh' koi un mein na hoga

honge dar-e-jaanan ke bahut KHak-nashin aur

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 33)
  • Author : Arsh Malsiyani
  • Publication : Ali Imran Chaudhary
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now