Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil aatish-e-hijran se jalana nahin achchha

Bhartendu Harishchandra

dil aatish-e-hijran se jalana nahin achchha

Bhartendu Harishchandra

dil ātish-e-hijrāñ se jalānā nahīñ achchhā

ai sho.ala-ruḳho aag lagānā nahīñ achchhā

kis gul ke tasavvur meñ hai ai laala jigar-ḳhūñ

ye daaġh kaleje pe uThānā nahīñ achchhā

aayā hai ayādat ko masīhā sar-e-bālīñ

ai marg Thahar abhī aanā nahīñ achchhā

sone de shab-e-vasl-e-ġharībāñ hai abhī se

ai murġh-e-sahar shor machānā nahīñ achchhā

tum jaate ho kyā jaan mirī jaatī hai sāhib

ai jān-e-jahāñ aap jaanā nahīñ achchhā

aa shab-e-furqat meñ qasam tum ko ḳhudā

ai maut bas ab der lagānā nahīñ achchhā

pahuñchā de sabā kūcha-e-jānāñ meñ pas-e-marg

jañgal meñ mirī ḳhaak uḌānā nahīñ achchhā

aa jaa.e na dil aap bhī aur kisī par

dekho mirī jaañ aañkh laḌānā nahīñ achchhā

kar dūñgā abhī hashr bapā dekhiyo jallād

dhabbā ye mire ḳhuuñ chhuḌānā nahīñ achchhā

ai fāḳhta us sarv-e-sahī qad huuñ shaidā

kū-kū sadā mujh ko sunānā nahīñ achchhā

dil aatish-e-hijran se jalana nahin achchha

ai shoala-ruKHo aag lagana nahin achchha

kis gul ke tasawwur mein hai ai lala jigar-KHun

ye dagh kaleje pe uThana nahin achchha

aaya hai ayaadat ko masiha sar-e-baalin

ai marg Thahar ja abhi aana nahin achchha

sone de shab-e-wasl-e-ghariban hai abhi se

ai murgh-e-sahar shor machana nahin achchha

tum jate ho kya jaan meri jati hai sahib

ai jaan-e-jahan aap ka jaana nahin achchha

aa ja shab-e-furqat mein qasam tum ko KHuda ki

ai maut bas ab der lagana nahin achchha

pahuncha de saba kucha-e-jaanan mein pas-e-marg

jangal mein meri KHak uDana nahin achchha

aa jae na dil aap ka bhi aur kisi par

dekho meri jaan aankh laDana nahin achchha

kar dunga abhi hashr bapa dekhiyo jallad

dhabba ye mere KHun ka chhuDana nahin achchha

ai faKHta us sarw-e-sahi qad ka hun shaida

ku-ku ki sada mujh ko sunana nahin achchha

Source :
  • Book : Bhartendu Samagr (Pg. 271)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now