ab kaise main bataun tumhein kya hai shairi
ab kaise maiñ batā.ūñ tumheñ kyā hai shā'irī
zauq-e-jamāl-o-husn kā rishta hai shā'irī
tā'rīf kyā karūñ ki sarāpā adab hai vo
āñkheñ hai us kī nasr to chehra hai shā'irī
ai dost she'r-goī ko āsāñ samajhte ho
jīte-jī pul-sirāt pe chalnā hai shā'irī
yuuñ hī nahīñ utartī hai dil meñ kisī kī baat
shā'ir jigar ke ḳhuun se likhtā hai shā'irī
maiñ ne ġhazal kī shakl meñ likkhī hai ḳhud-navisht
haañ merī zindagī kā ḳhulāsa hai shā'irī
ab kaise main bataun tumhein kya hai sha'iri
zauq-e-jamal-o-husn ka rishta hai sha'iri
ta'rif kya karun ki sarapa adab hai wo
aankhen hai us ki nasr to chehra hai sha'iri
ai dost she'r-goi ko aasan samajhte ho
jite-ji pul-siraat pe chalna hai sha'iri
yun hi nahin utarti hai dil mein kisi ki baat
sha'ir jigar ke KHun se likhta hai sha'iri
main ne ghazal ki shakl mein likkhi hai KHud-nawisht
han meri zindagi ka KHulasa hai sha'iri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.