dekhi hai jis bhi shaKHs ne teri nazar ki dhup
dekhī hai jis bhī shaḳhs ne terī nazar kī dhuup
kyā us ko phir jalā.egī ye dopahar kī dhuup
dushvāriyoñ ke baa'd haiñ āsāniyāñ yahāñ
hogī shajar kī chhāñv se pahle safar kī dhuup
mānind-e-sā.ebān thā maiñ us ke vāste
badle meñ us se mujh ko milī 'umr bhar kī dhuup
āsā.ishoñ meñ baiTh ke raushan nahīñ hue
jhelī hai ḳhuub ham ne miyāñ rah-guzar kī dhuup
us ḳhair-o-shar kī raah meñ har ek gaam par
har sā.ebān-e-ḳhair ke uupar hai shar kī dhuup
shāḳhoñ se aatī kirnoñ ke mānind lagtī hai
chhāoñ meñ terī zulf kī terī nazar kī dhuup
aisī sukūn-baḳhsh hai 'safdar' tirī nigāh
jaise savere ThanD meñ pahle pahar kī dhuup
dekhi hai jis bhi shaKHs ne teri nazar ki dhup
kya us ko phir jalaegi ye dopahar ki dhup
dushwariyon ke ba'd hain aasaniyan yahan
hogi shajar ki chhanw se pahle safar ki dhup
manind-e-saeban tha main us ke waste
badle mein us se mujh ko mili 'umr bhar ki dhup
aasaishon mein baiTh ke raushan nahin hue
jheli hai KHub hum ne miyan rah-guzar ki dhup
us KHair-o-shar ki rah mein har ek gam par
har saeban-e-KHair ke upar hai shar ki dhup
shaKHon se aati kirnon ke manind lagti hai
chhaon mein teri zulf ki teri nazar ki dhup
aisi sukun-baKHsh hai 'safdar' teri nigah
jaise sawere ThanD mein pahle pahar ki dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.