Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhup ke zard jaziron mein numu zinda hai

Shahid Kamal

dhup ke zard jaziron mein numu zinda hai

Shahid Kamal

dhuup ke zard jazīroñ meñ numū zinda hai

rañg-e-āshob fazāoñ meñ lahū zinda hai

ḳhvāb dar ḳhvāb bas ik chīḳhte sahrā sukūt

aur āñkhoñ meñ vahī diid ḳhū zinda hai

shāḳh-e-mizhgāñ pe mahakne lage zaḳhmoñ ke gulāb

pichhle mausam mulāqāt zinda hai

mere saaqī tire jāñ-baḳhsh laboñ hai ye faiz

dast-e-mai-kash meñ abhī tak jo subū zinda hai

shal huā jaatā hai kyuuñ haath mire qātil

zad pe ḳhanjar ke abhī ḳhushk gulū zinda hai

kapkapī fart-e-nadāmat se hai maujoñ meñ abhī

tishna-lab kaun sar-e-sāhil-e-jū zinda hai

kitnī jāñ-soz hai is shahr-e-munāfiq havā

is pe 'shāhid' mujhe hairat hai ki zinda hai

dhup ke zard jaziron mein numu zinda hai

rang-e-ashob fazaon mein lahu zinda hai

KHwab dar KHwab bas ek chiKHte sahra ka sukut

aur aankhon mein wahi did ki KHu zinda hai

shaKH-e-mizhgan pe mahakne lage zaKHmon ke gulab

pichhle mausam ki mulaqat ki bu zinda hai

mere saqi tere jaan-baKHsh labon ka hai ye faiz

dast-e-mai-kash mein abhi tak jo subu zinda hai

shal hua jata hai kyun hath mere qatil ka

zad pe KHanjar ke abhi KHushk gulu zinda hai

kapkapi fart-e-nadamat se hai maujon mein abhi

tishna-lab kaun sar-e-sahil-e-ju zinda hai

kitni jaan-soz hai is shahr-e-munafiq ki hawa

is pe 'shahid' mujhe hairat hai ki tu zinda hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now