KHud se hi KHud ko musibat mein na Dala jae
ḳhud se hī ḳhud ko musībat meñ na Daalā jaa.e
kāñch kā ghar hai to patthar na uchhālā jaa.e
ḳhud ko andar ke hī dushman se bachāo pahle
āstīnoñ meñ koī saañp na paalā jaa.e
paañv chādar meñ sameTe hī rakho achchhā hai
ḳhud ko auqāt se bāhar na nikālā jaa.e
ye bhī mumkin hai ġhalat baat sarāhe duniyā
ye bhī mumkin hai sahī baat ko Taalā jaa.e
rang apnoñ ke badalte haiñ yahāñ pal pal meñ
kaun apnā hai ye fursat meñ khañgālā jaa.e
'monikā' aao ik ummīd kā dīpak le kar
laḌkhaḌāte hue logoñ ko sañbhālā jaa.e
KHud se hi KHud ko musibat mein na Dala jae
kanch ka ghar hai to patthar na uchhaala jae
KHud ko andar ke hi dushman se bachao pahle
aastinon mein koi sanp na pala jae
panw chadar mein sameTe hi rakho achchha hai
KHud ko auqat se bahar na nikala jae
ye bhi mumkin hai ghalat baat sarahe duniya
ye bhi mumkin hai sahi baat ko Tala jae
rang apnon ke badalte hain yahan pal pal mein
kaun apna hai ye fursat mein khangala jae
'monika' aao ek ummid ka dipak le kar
laDkhaDate hue logon ko sanbhaala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.