Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhire dhire Dhalte suraj ka safar mera bhi hai

Swappnil Tiwari

dhire dhire Dhalte suraj ka safar mera bhi hai

Swappnil Tiwari

dhīre dhīre Dhalte sūraj safar merā bhī hai

shaam batlātī hai mujh ko ek ghar merā bhī hai

jis nadī kināra hai usī maiñ bhī huuñ

tere hisse meñ jo hai vo bhañvar merā bhī hai

ek pagDanDī chalī jangal meñ bas ye soch kar

dasht ke us paar shāyad ek ghar merā bhī hai

phūTte ek ankur ne daraḳhtoñ se kahā

āsmāñ ik chāhiye mujh ko ki sar merā bhī hai

aaj bedārī mujhe shab bhar ye samjhātī rahī

ik zarā haq tumhāre ḳhvāboñ par merā bhī hai

mere ashkoñ meñ chhupī thī svātī ik buuñd bhī

is samundar meñ kahīñ par ik guhar merā bhī hai

shāḳh par shab lage is chāñd meñ hai dhuup jo

vo mirī āñkhoñ hai so vo samar merā bhī hai

jahāñ par ḳhaak uḌāne rahā hai ai junūñ

haañ unhīñ vīrāniyoñ meñ ik khañDar merā bhī hai

jaan jaate haiñ patā 'ātish' dhueñ se sab mirā

sochtā rahtā huuñ kyā koī mafar merā bhī hai

dhire dhire Dhalte suraj ka safar mera bhi hai

sham batlati hai mujh ko ek ghar mera bhi hai

jis nadi ka tu kinara hai usi ka main bhi hun

tere hisse mein jo hai wo hi bhanwar mera bhi hai

ek pagDanDi chali jangal mein bas ye soch kar

dasht ke us par shayad ek ghar mera bhi hai

phuTte hi ek ankur ne daraKHton se kaha

aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai

aaj bedari mujhe shab bhar ye samjhati rahi

ek zara sa haq tumhaare KHwabon par mera bhi hai

mere ashkon mein chhupi thi swati ki ek bund bhi

is samundar mein kahin par ek guhar mera bhi hai

shaKH par shab ki lage is chand mein hai dhup jo

wo meri aankhon ki hai so wo samar mera bhi hai

tu jahan par KHak uDane ja raha hai ai junun

han unhin viraniyon mein ek khanDar mera bhi hai

jaan jate hain pata 'atish' dhuen se sab mera

sochta rahta hun kya koi mafar mera bhi hai

Source :
  • Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 93)
  • Author : Swapnil Tiwari
  • Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
  • Edition : 2015
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now