chaar-su aag jang ki dekhi
chār-sū aag jang kī dekhī
amn kī aañkh meñ namī dekhī
TūTnā hī thā bāñdh ashkoñ kā
muddatoñ baa'd to ḳhushī dekhī
saath jab dostoñ ke baiTh ga.e
ham ne hargiz na phir ghaḌī dekhī
sab samundar lahū lahū dekhe
har nadī bhī karāhtī dekhī
dūsroñ ke na 'aib ginvā.e
dekhī jab ḳhud meñ hī kamī dekhī
raat din ḳhvāhishoñ kā bojh liye
zindagī ham ne dauḌtī dekhī
saath dene kā dam jo bharte the
vaqt par un kī baat bhī dekhī
chaar-su aag jang ki dekhi
amn ki aankh mein nami dekhi
TuTna hi tha bandh ashkon ka
muddaton ba'd to KHushi dekhi
sath jab doston ke baiTh gae
hum ne hargiz na phir ghaDi dekhi
sab samundar lahu lahu dekhe
har nadi bhi karahti dekhi
dusron ke na 'aib ginwae
dekhi jab KHud mein hi kami dekhi
raat din KHwahishon ka bojh liye
zindagi hum ne dauDti dekhi
sath dene ka dam jo bharte the
waqt par un ki baat bhi dekhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.