sabhi kamron mein bhi tale paDe hain
sabhī kamroñ meñ bhī taale paḌe haiñ
makān-e-‘ishq meñ jaale paḌe haiñ
abhī to duur hai manzil bhī kosoñ
abhī se paaoñ meñ chhāle paḌe haiñ
mile mauqa' to Das lete haiñ apne
ki goyā saañp ham paale paḌe haiñ
hai rāh-e-'āshiqī meñ ḳhaar itne
hameñ to jaan ke laale paḌe haiñ
khulā hai 'zeb' koī raaz aisā
ki chehre sab ke hī kaale paḌe haiñ
sabhi kamron mein bhi tale paDe hain
makan-e-‘ishq mein jale paDe hain
abhi to dur hai manzil bhi koson
abhi se paon mein chhaale paDe hain
mile mauqa' to Das lete hain apne
ki goya sanp hum pale paDe hain
hai rah-e-'ashiqi mein KHar itne
hamein to jaan ke lale paDe hain
khula hai 'zeb' koi raaz aisa
ki chehre sab ke hi kale paDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.