Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun

Khalilur Rahman Azmi

dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun

Khalilur Rahman Azmi

dekhne vaalā koī mile to dil ke daaġh dikhā.ūñ

ye nagrī andhoñ nagrī kis ko kyā samjhā.ūñ

naam nahīñ hai koī kisī ruup nahīñ hai koī

maiñ kis saaya huuñ kis ke saa.e se Takrā.ūñ

saste dāmoñ bech rahe haiñ apne-āp ko log

maiñ kyā apnā mol batā.ūñ kyā kah kar chillā.ūñ

apne sapīd o siyah mālik ek tarah se maiñ bhī huuñ

din meñ sameTūñ apne-āp ko raat meñ phir bikhrā.ūñ

apne hoñ ġhair hoñ sab ke andar se hai ek haal

kis kis ke maiñ bhed chhupā.ūñ kis hañsī uḌā.ūñ

pyāsī bastī pyāsā jañgal pyāsī chiḌiyā pyāsā pyaar

maiñ bhaTkā āvāra bādal kis pyaas bujhā.ūñ

dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun

ye nagri andhon ki nagri kis ko kya samjhaun

nam nahin hai koi kisi ka rup nahin hai koi

main kis ka saya hun kis ke sae se Takraun

saste damon bech rahe hain apne-ap ko log

main kya apna mol bataun kya kah kar chillaun

apne sapid o siyah ka malik ek tarah se main bhi hun

din mein sameTun apne-ap ko raat mein phir bikhraun

apne hon ya ghair hon sab ke andar se hai ek sa haal

kis kis ke main bhed chhupaun kis ki hansi uDaun

pyasi basti pyasa jangal pyasi chiDiya pyasa pyar

main bhaTka aawara baadal kis ki pyas bujhaun

Source :
  • Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 26)
  • Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
  • Publication : Rekhta Publications (2018)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now