zehn banta hai un ke aane se
zehn bantā hai un ke aane se
she'r utarte haiñ un ke jaane se
sharm karte haiñ jab vo milte haiñ
jhāñkte haiñ vo bālā-ḳhāne se
dām-e-sayyād se jo bachnā hai
duur rahnā hai us ke daane se
lamha-e-'ishq ek behtar hai
be-muravvat kisī zamāne se
ab to cigarette bhī chhoḌ dī maiñ ne
duur baiThoge kis bahāne se
zehn banta hai un ke aane se
she'r utarte hain un ke jaane se
sharm karte hain jab wo milte hain
jhankte hain wo baala-KHane se
dam-e-sayyaad se jo bachna hai
dur rahna hai us ke dane se
lamha-e-'ishq ek behtar hai
be-murawwat kisi zamane se
ab to cigarette bhi chhoD di main ne
dur baiThoge kis bahane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.