zara si baat par dil ka mere bimar ho jaana
zarā sī baat par dil kā mire bīmār ho jaanā
mirī chhoTī sī ḳhvāhish aur tirā inkār ho jaanā
mahīnoñ tak ye rūhānī davā kā kaam kartā hai
achānak sar-ba-sar terā kahīñ dīdār ho jaanā
mohabbat apne hisse kā sabhī se kaam letī hai
tirā masrūf rahnā aur mirā be-kār ho jaanā
kahānī kā ye hissa ab bhī koī ḳhvāb lagtā hai
mirā paa.el pahannā aur tirā jhankār ho jaanā
mirī dushvāriyoñ ko raat din ye āzmātā hai
tirā āsān rahnā phir kabhī dushvār ho jaanā
zara si baat par dil ka mere bimar ho jaana
meri chhoTi si KHwahish aur tera inkar ho jaana
mahinon tak ye ruhani dawa ka kaam karta hai
achanak sar-ba-sar tera kahin didar ho jaana
mohabbat apne hisse ka sabhi se kaam leti hai
tera masruf rahna aur mera be-kar ho jaana
kahani ka ye hissa ab bhi koi KHwab lagta hai
mera pael pahanna aur tera jhankar ho jaana
meri dushwariyon ko raat din ye aazmata hai
tera aasan rahna phir kabhi dushwar ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.