Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dayar-e-dil ki raat mein charagh sa jala gaya

Nasir Kazmi

dayar-e-dil ki raat mein charagh sa jala gaya

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    dayār-e-dil raat meñ charāġh jalā gayā

    milā nahīñ to kyā huā vo shakl to dikhā gayā

    vo dostī to ḳhair ab nasīb-e-dushmanāñ huī

    vo chhoTī chhoTī ranjishoñ lutf bhī chalā gayā

    judā.iyoñ ke zaḳhm dard-e-zindagī ne bhar diye

    tujhe bhī niiñd aa ga.ī mujhe bhī sabr aa gayā

    pukārtī haiñ fursateñ kahāñ ga.iiñ vo sohbateñ

    zamīñ nigal ga.ī unheñ ki āsmān khā gayā

    ye sub.h safediyāñ ye dopahar zardiyāñ

    ab aa.ine meñ dekhtā huuñ maiñ kahāñ chalā gayā

    ye kis ḳhushī ret par ġhamoñ ko niiñd aa ga.ī

    vo lahr kis taraf ga.ī ye maiñ kahāñ samā gayā

    ga.e dinoñ laash par paḌe rahoge kab talak

    alam-kasho uTho ki āftāb sar pe aa gayā

    dayar-e-dil ki raat mein charagh sa jala gaya

    mila nahin to kya hua wo shakl to dikha gaya

    wo dosti to KHair ab nasib-e-dushmanan hui

    wo chhoTi chhoTi ranjishon ka lutf bhi chala gaya

    judaiyon ke zaKHm dard-e-zindagi ne bhar diye

    tujhe bhi nind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya

    pukarti hain fursaten kahan gain wo sohbaten

    zamin nigal gai unhen ki aasman kha gaya

    ye subh ki safediyan ye dopahar ki zardiyan

    ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya

    ye kis KHushi ki ret par ghamon ko nind aa gai

    wo lahr kis taraf gai ye main kahan sama gaya

    gae dinon ki lash par paDe rahoge kab talak

    alam-kasho uTho ki aaftab sar pe aa gaya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zehra Nigaah

    Zehra Nigaah

    Noor Jahan

    Noor Jahan

    Multiple

    Multiple

    Nasir Kazmi

    Nasir Kazmi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dayar-e-dil ki raat mein charagh sa jala gaya Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now