Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dast-baston ko ishaara bhi to ho sakta hai

Ahmad Khayal

dast-baston ko ishaara bhi to ho sakta hai

Ahmad Khayal

dast-bastoñ ko ishāra bhī to ho saktā hai

ab vahī shaḳhs hamārā bhī to ho saktā hai

maiñ ye aise nahīñ chhān rahā huuñ ab tak

ḳhaak meñ koī sitāra bhī to ho saktā hai

ain mumkin hai ki bīnā.ī mujhe dhoka de

ye jo shabnam hai sharāra bhī to ho saktā hai

is mohabbat meñ har ik shai bhī to luT saktī hai

is mohabbat meñ ḳhasāra bhī to ho saktā hai

gar hai sāñsoñ tasalsul mirī qismat meñ 'ḳhayāl'

phir ye girdāb kinārā bhī to ho saktā hai

dast-baston ko ishaara bhi to ho sakta hai

ab wahi shaKHs hamara bhi to ho sakta hai

main ye aise hi nahin chhan raha hun ab tak

KHak mein koi sitara bhi to ho sakta hai

ain mumkin hai ki binai mujhe dhoka de

ye jo shabnam hai sharara bhi to ho sakta hai

is mohabbat mein har ek shai bhi to luT sakti hai

is mohabbat mein KHasara bhi to ho sakta hai

gar hai sanson ka tasalsul meri qismat mein 'KHayal'

phir ye girdab kinara bhi to ho sakta hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now