kya karoge bachaw suraj ka
kyā karoge bachāv sūraj kā
jānte ho subhāv sūraj kā
garm hai vo to kam nahīñ ham bhī
kaun sahtā hai taao sūraj kā
mere ghar kā charāġh bujhte hī
chaḌh gayā kitnā bhaav sūraj kā
surma.ī shaam aa.e kamre meñ
ab to parda haTāo sūraj kā
raat se jang kar ke aayā hai
taaza taaza hai ghaav sūraj kā
milne jaatā hai raat se chhup kar
ik fasāna banāo sūraj kā
āsmānoñ se dostī kar ke
baḌh gayā hai tanāv sūraj kā
ho ga.ī shaam sochte kyā ho
ab janāza uThāo sūraj kā
raat bhar muñh chhupā.e phirtā rahā
kam nahīñ phir bhī taao sūraj kā
roz dariyā kināre baiTh ke ham
joḌte haiñ ghaTāo sūraj kā
jugnuoñ se muqābla thā 'fahīm'
kaun kartā bachāo sūraj kā
kya karoge bachaw suraj ka
jaante ho subhaw suraj ka
garm hai wo to kam nahin hum bhi
kaun sahta hai tao suraj ka
mere ghar ka charagh bujhte hi
chaDh gaya kitna bhaw suraj ka
surmai sham aae kamre mein
ab to parda haTao suraj ka
raat se jang kar ke aaya hai
taza taza hai ghaw suraj ka
milne jata hai raat se chhup kar
ek fasana banao suraj ka
aasmanon se dosti kar ke
baDh gaya hai tanaw suraj ka
ho gai sham sochte kya ho
ab janaza uThao suraj ka
raat bhar munh chhupae phirta raha
kam nahin phir bhi tao suraj ka
roz dariya kinare baiTh ke hum
joDte hain ghaTao suraj ka
jugnuon se muqabla tha 'fahim'
kaun karta bachao suraj ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.