Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis takalluf se hamein zer-e-aman rakkha gaya

Yusuf Hasan

kis takalluf se hamein zer-e-aman rakkha gaya

Yusuf Hasan

kis takalluf se hameñ zer-e-amāñ rakkhā gayā

āhanī piñjre meñ apnā āshiyāñ rakkhā gayā

ek zanjīr thī us paar se is paar tak

kaj-ravī koī vaqfa kahāñ rakkhā gayā

apne ḳhvāboñ zamīñ par ḳhushk-sālī kab huī

har samay ik ret dariyā ravāñ rakkhā gayā

us kināre koī apnā muntazir ho na ho

ye bhī kyā kam hai ki itnā ḳhush-gumāñ rakkhā gayā

ab to ham aapas meñ bhī milte nahīñ khulte nahīñ

kis balā ḳhauf apne darmiyāñ rakkhā gayā

'yūsuf' ik bhedoñ bhare pul rifāqat par hameñ

kitnī vīrāñ sā'atoñ meñ rā.egāñ rakkhā gayā

kis takalluf se hamein zer-e-aman rakkha gaya

aahani pinjre mein apna aashiyan rakkha gaya

ek hi zanjir thi us par se is par tak

kaj-rawi ka koi waqfa hi kahan rakkha gaya

apne KHwabon ki zamin par KHushk-sali kab hui

har samay ek ret ka dariya rawan rakkha gaya

us kinare koi apna muntazir ho ya na ho

ye bhi kya kam hai ki itna KHush-guman rakkha gaya

ab to hum aapas mein bhi milte nahin khulte nahin

kis bala ka KHauf apne darmiyan rakkha gaya

'yusuf' ek bhedon bhare pul ki rifaqat par hamein

kitni viran sa'aton mein raegan rakkha gaya

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now