Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen

Majrooh Sultanpuri

ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen

Majrooh Sultanpuri

ye ruke ruke se aañsū ye dabī dabī aaheñ

yūñhī kab talak ḳhudāyā ġham-e-zindagī nibāheñ

kahīñ zulmatoñ meñ ghir kar hai talāsh-e-dasht-e-rahbar

kahīñ jagmagā uThī haiñ mire naqsh-e-pā se rāheñ

tire ḳhānumāñ-ḳharāboñ chaman koī na sahrā

ye jahāñ bhī baiTh jaa.eñ vahīñ in bārgāheñ

kabhī jāda-e-talab se jo phirā huuñ dil-shikasta

tirī aarzū ne hañs kar vahīñ Daal haiñ bāñheñ

mire ahd meñ nahīñ hai ye nishān-e-sar-bulandī

ye rañge hue amāme ye jhukī jhukī kulāheñ

ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen

yunhi kab talak KHudaya gham-e-zindagi nibahen

kahin zulmaton mein ghir kar hai talash-e-dasht-e-rahbar

kahin jagmaga uThi hain mere naqsh-e-pa se rahen

tere KHanuman-KHarabon ka chaman koi na sahra

ye jahan bhi baiTh jaen wahin in ki bargahen

kabhi jada-e-talab se jo phira hun dil-shikasta

teri aarzu ne hans kar wahin Dal di hain banhen

mere ahd mein nahin hai ye nishan-e-sar-bulandi

ye range hue amame ye jhuki jhuki kulahen

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

ye ruke ruke se aansu ye dabi dabi si aahen Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now