hijr ke sare azabon se guzar jaana hai
hijr ke saare 'azāboñ se guzar jaanā hai
ham ne is baar use dekh ke mar jaanā hai
lā ke dorāhe pe vo chhoḌ gayā hai mujh ko
aa ke batlā.e ki ab maiñ ne kidhar jaanā hai
dil kī kyā pūchhte ho ranj to ghar hai is kā
ye koī zaḳhm nahīñ hai jise bhar jaanā hai
TuuT jaanā hai ḳhayāloñ ne ḳhabar hai mujh ko
mujhe mā'lūm hai ḳhvāboñ ne bikhar jaanā hai
she'r kahtā huuñ ab us shoḳh kī farmā.ish par
'aib thā merā jise us ne hunar jaanā hai
vā'da-e-vasl ko sach maan liyā hai maiñ ne
aur pahle kī tarah us ne mukar jaanā hai
āḳhrī faisla kar ke palaT aanā hai 'zafar'
haañ agar us ne pukārā to Thahar jaanā hai
hijr ke sare 'azabon se guzar jaana hai
hum ne is bar use dekh ke mar jaana hai
la ke dorahe pe wo chhoD gaya hai mujh ko
aa ke batlae ki ab main ne kidhar jaana hai
dil ki kya puchhte ho ranj to ghar hai is ka
ye koi zaKHm nahin hai jise bhar jaana hai
TuT jaana hai KHayalon ne KHabar hai mujh ko
mujhe ma'lum hai KHwabon ne bikhar jaana hai
she'r kahta hun ab us shoKH ki farmaish par
'aib tha mera jise us ne hunar jaana hai
wa'da-e-wasl ko sach man liya hai main ne
aur pahle ki tarah us ne mukar jaana hai
aaKHri faisla kar ke palaT aana hai 'zafar'
han agar us ne pukara to Thahar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.