dar-o-diwar pe ek saya paDa hai dekho
Interesting Fact
Sutoor- Delhi
dar-o-dīvār pe ik saaya paḌā hai dekho
mere raste meñ koī jaise khaḌā hai dekho
zarra-e-ḳhāk ko sar par liye phirtī hai havā
aur patthar ki zamīñ meñ hī gaḌā hai dekho
is qadar bhiiḌ hai raste meñ ki chalnā hai muhāl
aur bādal ki abhī sar pe khaḌā hai dekho
apnī hī zaat ke saa.e meñ chhupā baiThā huuñ
ki mirā saaya bhī to mujh se baḌā hai dekho
mauj-e-dariyā ko samundar se mafar mushkil hai
lauT bhī aao ki ye rasta kaḌā hai dekho
koī to aa.e mujhe aa ke bachā.e is se
merī dahlīz pe ik shaḳhs khaḌā hai dekho
sar pe tūfān bhī hai sāmne girdāb bhī hai
merī himmat ki vahī kachchā ghaḌā hai dekho
sar kaTā kar bhī khaḌā huuñ sar-e-maidāñ aḳhtar
is tarah jañg yahāñ kaun laḌā hai dekho
dar-o-diwar pe ek saya paDa hai dekho
mere raste mein koi jaise khaDa hai dekho
zarra-e-KHak ko sar par liye phirti hai hawa
aur patthar ki zamin mein hi gaDa hai dekho
is qadar bhiD hai raste mein ki chalna hai muhaal
aur baadal ki abhi sar pe khaDa hai dekho
apni hi zat ke sae mein chhupa baiTha hun
ki mera saya bhi to mujh se baDa hai dekho
mauj-e-dariya ko samundar se mafar mushkil hai
lauT bhi aao ki ye rasta kaDa hai dekho
koi to aae mujhe aa ke bachae is se
meri dahliz pe ek shaKHs khaDa hai dekho
sar pe tufan bhi hai samne girdab bhi hai
meri himmat ki wahi kachcha ghaDa hai dekho
sar kaTa kar bhi khaDa hun sar-e-maidan aKHtar
is tarah jang yahan kaun laDa hai dekho
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 64)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.