Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar-KHur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua

Mirza Ghalib

dar-KHur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua

Mirza Ghalib

dar-ḳhur-e-qahr-o-ġhazab jab koī ham na huā

phir ġhalat kyā hai ki ham koī paidā na huā

bandagī meñ bhī vo āzāda o ḳhud-bīñ haiñ ki ham

ulTe phir aa.e dar-e-ka.aba agar na huā

sab ko maqbūl hai da.avā tirī yaktā.ī

rū-ba-rū koī but-e-ā.ina-sīmā na huā

kam nahīñ nāzish-e-hamnāmi-e-chashm-e-ḳhūbāñ

terā bīmār burā kyā hai gar achchhā na huā

siine daaġh hai vo naala ki lab tak na gayā

ḳhaak rizq hai vo qatra ki dariyā na huā

naam mere hai jo dukh ki kisī ko na milā

kaam meñ mere hai jo fitna ki barpā na huā

har-bun-e-mū se dam-e-zikr na Tapke ḳhuuñ naab

hamza qissa huā ishq charchā na huā

qatra meñ dajla dikhā.ī na de aur juzv meñ kul

khel laḌkoñ huā dīda-e-bīnā na huā

thī ḳhabar garm ki 'ġhālib' ke uḌeñge purze

dekhne ham bhī ga.e the pa tamāshā na huā

dar-KHur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua

phir ghalat kya hai ki hum sa koi paida na hua

bandagi mein bhi wo aazada o KHud-bin hain ki hum

ulTe phir aae dar-e-kaba agar wa na hua

sab ko maqbul hai dawa teri yaktai ka

ru-ba-ru koi but-e-aina-sima na hua

kam nahin nazish-e-hamnami-e-chashm-e-KHuban

tera bimar bura kya hai gar achchha na hua

sine ka dagh hai wo nala ki lab tak na gaya

KHak ka rizq hai wo qatra ki dariya na hua

nam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila

kaam mein mere hai jo fitna ki barpa na hua

har-bun-e-mu se dam-e-zikr na Tapke KHun nab

hamza ka qissa hua ishq ka charcha na hua

qatra mein dajla dikhai na de aur juzw mein kul

khel laDkon ka hua dida-e-bina na hua

thi KHabar garm ki 'ghaalib' ke uDenge purze

dekhne hum bhi gae the pa tamasha na hua

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now