Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein

Muneer Niyazi

Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    Dar ke kisī se chhup jaatā hai jaise saañp ḳhazāne meñ

    zar ke zor se zinda haiñ sab ḳhaak ke is vīrāne meñ

    jaise rasm adā karte hoñ shahroñ ābādī meñ

    sub.h ko ghar se duur nikal kar shaam ko vāpas aane meñ

    niile rang meñ Duubī āñkheñ khulī paḌī thiiñ sabze par

    'aks paḌā thā āsmān shāyad is paimāne meñ

    dabī huī hai zer-e-zamīñ ik dahshat gung sadāoñ

    bijlī kahīñ laraz rahī hai kisī chhupe tah-ḳhāne meñ

    dil kuchh aur bhī sard huā hai shām-e-shahr raunaq se

    kitnī ziyā be-sūd ga.ī shīshe ke lafz jalāne meñ

    maiñ to 'munīr' ā.īne meñ ḳhud ko tak kar hairān huā

    ye chehra kuchh aur tarah thā pahle kisī zamāne meñ

    Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein

    zar ke zor se zinda hain sab KHak ke is virane mein

    jaise rasm ada karte hon shahron ki aabaadi mein

    subh ko ghar se dur nikal kar sham ko wapas aane mein

    nile rang mein Dubi aankhen khuli paDi thin sabze par

    'aks paDa tha aasman ka shayad is paimane mein

    dabi hui hai zer-e-zamin ek dahshat gung sadaon ki

    bijli si kahin laraz rahi hai kisi chhupe tah-KHane mein

    dil kuchh aur bhi sard hua hai sham-e-shahr ki raunaq se

    kitni ziya be-sud gai shishe ke lafz jalane mein

    main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua

    ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein

    Source :
    • Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 439)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now