ye maut ek shaKHs ka arman bhi to hai
ye maut ek shaḳhs kā armān bhī to hai
lekin vo is ko dekh ke hairān bhī to hai
vo jā rahā hai jaane do ab us ko dosto
ab kyā kare vo mujh se pareshān bhī to hai
us se bichhaḌ ke ghar kī taraf ruḳh nahīñ kiyā
āḳhir hamāre sāmne zindān bhī to hai
ham is se badlā leñge kabhī aur phir kahīñ
dushman hai ye magar mirā mehmān bhī to hai
ye 'ishq pyār-vyār kisī kaam ke nahīñ
haañ yaar is meñ jaan kā nuqsān bhī to hai
tujh ko to yaar 'jaun' kī ġhazleñ bhī yaad haiñ
aur tere paas 'mīr' kā dīvān bhī to hai
jab apne saath niklegā sab siikh jā.egā
āḳhir ye is jahān se anjān bhī to hai
chhoḌo jo ho gayā vo huā kyā kahe koī
yaaro vo laḌkī thoḌī sī nādān bhī to hai
'tanhā-ġhafīr' shā'iroñ meñ naam hai mirā
ab mere paas ḳhud kī ye pahchān bhī to hai
ye maut ek shaKHs ka arman bhi to hai
lekin wo is ko dekh ke hairan bhi to hai
wo ja raha hai jaane do ab us ko dosto
ab kya kare wo mujh se pareshan bhi to hai
us se bichhaD ke ghar ki taraf ruKH nahin kiya
aaKHir hamare samne zindan bhi to hai
hum is se badla lenge kabhi aur phir kahin
dushman hai ye magar mera mehman bhi to hai
ye 'ishq pyar-wyar kisi kaam ke nahin
han yar is mein jaan ka nuqsan bhi to hai
tujh ko to yar 'jaun' ki ghazlen bhi yaad hain
aur tere pas 'mir' ka diwan bhi to hai
jab apne sath niklega sab sikh jaega
aaKHir ye is jahan se anjaan bhi to hai
chhoDo jo ho gaya wo hua kya kahe koi
yaro wo laDki thoDi si nadan bhi to hai
'tanha-ghafir' sha'iron mein nam hai mera
ab mere pas KHud ki ye pahchan bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.