Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har kali pe dabaw hai pyare

Raj Vishwakarma Raaz

har kali pe dabaw hai pyare

Raj Vishwakarma Raaz

MORE BYRaj Vishwakarma Raaz

    har kalī pe dabāv hai pyāre

    aisā rut kā bahāv hai pyāre

    ye jo mujh ko tanāv hai pyāre

    us ke ġham kā dabāv hai pyāre

    thoḌā behtar sujhāv de mujh ko

    merā antim paḌāv hai pyāre

    us kī chuppī sunā.ī detī hai

    itnā gahrā lagāv hai pyāre

    'ishq vo bhī baġhair aañsū ke

    ye ḳhayālī pulāv hai pyāre

    har kali pe dabaw hai pyare

    aisa rut ka bahaw hai pyare

    ye jo mujh ko tanaw hai pyare

    us ke gham ka dabaw hai pyare

    thoDa behtar sujhaw de mujh ko

    mera antim paDaw hai pyare

    us ki chuppi sunai deti hai

    itna gahra lagaw hai pyare

    'ishq wo bhi baghair aansu ke

    ye KHayali pulaw hai pyare

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now