ghalat-fahmi ke pardon ko haTana lazmi hai
ġhalat-fahmī ke pardoñ ko haTānā lāzmī hai
diloñ meñ pyaar kā jazba jagānā lāzmī hai
ujāle bāñTne nikle ho to ye yaad rakhnā
ḳhud apne aap ko pahle jalānā lāzmī hai
sifat phūloñ kī sīkhī hai to ye bhī siikh lo tum
mahaknā hai to miTTī meñ samānā lāzmī hai
'adālat vaqt kī jab faisla karne pe aa.e
gunāhoñ kā sar-e-bāzār aanā lāzmī hai
adākārī kī duniyā meñ agar jiinā hai tum ko
to chehre par koī chehra sajānā lāzmī hai
kise mā'lūm kal kyā ho magar ai dost mere
mile jo aaj to hañsnā hañsānā lāzmī hai
likhā hai sach to sahnā 'monikā' ab tohmateñ bhī
qalam kā farz duniyā ko batānā lāzmī hai
ghalat-fahmi ke pardon ko haTana lazmi hai
dilon mein pyar ka jazba jagana lazmi hai
ujale banTne nikle ho to ye yaad rakhna
KHud apne aap ko pahle jalana lazmi hai
sifat phulon ki sikhi hai to ye bhi sikh lo tum
mahakna hai to miTTi mein samana lazmi hai
'adalat waqt ki jab faisla karne pe aae
gunahon ka sar-e-bazar aana lazmi hai
adakari ki duniya mein agar jina hai tum ko
to chehre par koi chehra sajaana lazmi hai
kise ma'lum kal kya ho magar ai dost mere
mile jo aaj to hansna hansana lazmi hai
likha hai sach to sahna 'monika' ab tohmaten bhi
qalam ka farz duniya ko batana lazmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.