Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-o-gesu ka koi zikr na ruKHsar ki baat

Khalid Yusuf

chashm-o-gesu ka koi zikr na ruKHsar ki baat

Khalid Yusuf

chashm-o-gesū koī zikr na ruḳhsār baat

baiTh kar kījiye un se dar-o-dīvār baat

ye adā.eñ ye ishāre ye hasīñ qaul-o-qarār

kitne ādāb ke parde meñ hai inkār baat

raat bhar jis tamannā meñ jale haiñ ham log

vo sahar shaiḳh nazroñ meñ hai kuffār baat

bazm-e-aġhyār agar ho to bichhe jaate haiñ

aur karte haiñ vo ham se rasan-o-dār baat

mad.h-e-sayyād bahar-hāl zarūrī to nahīñ

chup raho ye bhī hai ab jur.at-e-kirdār baat

kis bharose pe kareñ ishq saudā 'ḳhālid'

vaqt shāyad hai ki rahtī nahīñ talvār baat

chashm-o-gesu ka koi zikr na ruKHsar ki baat

baiTh kar kijiye un se dar-o-diwar ki baat

ye adaen ye ishaare ye hasin qaul-o-qarar

kitne aadab ke parde mein hai inkar ki baat

raat bhar jis ki tamanna mein jale hain hum log

wo sahar shaiKH ki nazron mein hai kuffar ki baat

bazm-e-aghyar agar ho to bichhe jate hain

aur karte hain wo hum se rasan-o-dar ki baat

madh-e-sayyaad bahar-haal zaruri to nahin

chup raho ye bhi hai ab jurat-e-kirdar ki baat

kis bharose pe karen ishq ka sauda 'KHalid'

waqt shayad hai ki rahti nahin talwar ki baat

Source :
  • Book : Shora-e-London (Pg. 83)
  • Author : Jauhar Zahiri
  • Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
  • Edition : 1985
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now