Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya

Abdullah Javed

chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya

Abdullah Javed

chamkā jo chāñd raat chehra nikhar gayā

māñge nuur bhī to baḌā kaam kar gayā

ye bhī bahut hai saiñkaḌoñ paude hare hue

kyā ġham jo bārishoñ meñ koī phuul mar gayā

sāhil pe log yūñhī khaḌe dekhte rahe

dariyā meñ ham jo utre to dariyā utar gayā

saaya bhī aap hai faqat raushnī ke saath

DhūñDoge tīrgī meñ ki saaya kidhar gayā

ham jis ke intizār meñ jaage tamām raat

aayā bhī vo to ḳhvāb sūrat guzar gayā

ham ne to gul chāñd taare baat

sab ahl-e-ajnuman gumāñ aap par gayā

ghar nahīñ rahā hai salāmat batā.eñ kyā

'jāved' ke ba.ad sail-e-balā kis ke ghar gayā

chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya

mange ka nur bhi to baDa kaam kar gaya

ye bhi bahut hai sainkaDon paude hare hue

kya gham jo barishon mein koi phul mar gaya

sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe

dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya

saya bhi aap ka hai faqat raushni ke sath

DhunDoge tirgi mein ki saya kidhar gaya

hum jis ke intizar mein jage tamam raat

aaya bhi wo to KHwab ki surat guzar gaya

hum ne to gul ki chand ki tare ki baat ki

sab ahl-e-ajnuman ka guman aap par gaya

ghar hi nahin raha hai salamat bataen kya

'jawed' ke baad sail-e-bala kis ke ghar gaya

Source :
  • Book : Ghazalistaan (Pg. 182)
  • Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
  • Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
  • Edition : 2003
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now