Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalo farar-e-KHudi ka koi sila to mila

Abhinandan Pandey

chalo farar-e-KHudi ka koi sila to mila

Abhinandan Pandey

chalo farār-e-ḳhudī koī sila to milā

hamīñ mile nahīñ us ko hameñ ḳhudā to milā

nashāt-e-qarya-e-jāñ se judā huī ḳhushbū

safar kuchh aisā hai ab ke koī milā to milā

hamāre baa'd rivāyat chalī mohabbat

nizām-e-ālam-e-hastī ko falsafa to milā

jo chhoḌ aa.e the taskīn-e-dil ke vāste ham

tumheñ ai jān-e-tamannā vo naqsh-e-pā to milā

savāl aa ga.e āñkhoñ se chhan ke hoñToñ par

hameñ javāb na dene fā.eda to milā

ye āh-o-girya-o-zārī kahīñ to kaam aa.ī

havā-e-dasht ko paanī zā.iqa to milā

namāz-e-asr nahīñ paḌh sakī mirī vahshat

junūn-e-ishq ko maidān-e-karbalā to milā

phir is ke baa'd barāmad na ho sakā kuchh bhī

hamāre aañkh meñ jaltā huā diyā to milā

chalo farar-e-KHudi ka koi sila to mila

hamin mile nahin us ko hamein KHuda to mila

nashat-e-qarya-e-jaan se juda hui KHushbu

safar kuchh aisa hai ab ke koi mila to mila

hamare ba'd riwayat chali mohabbat ki

nizam-e-alam-e-hasti ko falsafa to mila

jo chhoD aae the taskin-e-dil ke waste hum

tumhein ai jaan-e-tamanna wo naqsh-e-pa to mila

sawal aa gae aankhon se chhan ke honTon par

hamein jawab na dene ka faeda to mila

ye aah-o-girya-o-zari kahin to kaam aai

hawa-e-dasht ko pani ka zaiqa to mila

namaz-e-asr nahin paDh saki meri wahshat

junun-e-ishq ko maidan-e-karbala to mila

phir is ke ba'd baramad na ho saka kuchh bhi

hamare aankh mein jalta hua diya to mila

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now