Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chale maqtal ki jaanib aur chhati khol di humne

Munawwar Rana

chale maqtal ki jaanib aur chhati khol di humne

Munawwar Rana

chale maqtal jānib aur chhātī khol ham ne

baḌhāne par patañg aa.e to charḳhī khol ham ne

paḌā rahne do apne boriye par ham faqīroñ ko

phaTī rah jā.eñgī āñkheñ jo muTThī khol ham ne

kahāñ tak bojh baisākhī saarī zindagī Dhote

utarte kuñ.eñ meñ aaj rassī khol ham ne

farishto tum kahāñ tak nāma-e-a.amāl dekhoge

chalo ye nekiyāñ gin lo ki gaThrī khol ham ne

tumhārā naam aayā aur ham takne lage rasta

tumhārī yaad aa.ī aur khiḌkī khol ham ne

purāne ho chale the zaḳhm saare ārzūoñ ke

kaho chāragaroñ se aaj paTTī khol ham ne

tumhāre dukh uThā.e is liye phirte haiñ muddat se

tumhāre naam aa.ī thī jo chiTThī khol ham ne

chale maqtal ki jaanib aur chhati khol di hum ne

baDhane par patang aae to charKHi khol di hum ne

paDa rahne do apne boriye par hum faqiron ko

phaTi rah jaengi aankhen jo muTThi khol di hum ne

kahan tak bojh baisakhi ka sari zindagi Dhote

utarte hi kunen mein aaj rassi khol di hum ne

farishto tum kahan tak nama-e-amal dekhoge

chalo ye nekiyan gin lo ki gaThri khol di hum ne

tumhaara nam aaya aur hum takne lage rasta

tumhaari yaad aai aur khiDki khol di hum ne

purane ho chale the zaKHm sare aarzuon ke

kaho chaaragaron se aaj paTTi khol di hum ne

tumhaare dukh uThae is liye phirte hain muddat se

tumhaare nam aai thi jo chiTThi khol di hum ne

Source :
  • Book : Sukhan Sarai (Pg. 135)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now