ras hai mujhko shab, tanha aawara chand
raas hai mujh ko shab, tanhā āvāra chāñd
sartānī huuñ maiñ, merā sayyāra chāñd
in ko sher karūñ, andar kī baat kahūñ
mausam raat ghaTā, sūraj ik taarā chāñd
maiñ ne jiitī ye bāzī, hai raat gavāh
thak kar palTā chaudhvīñ shab, phir haarā chāñd
lahroñ lahroñ parchhā.īñ pāmāl huī
dekh rahā hai hasrat se be-chāra chāñd
maiñ Thahrī man-jogan shab bhar kaahe ko
saath mire phirtā hai maarā maarā chāñd
chaudhvīñ shab kyuuñ be-kal ho aur paTḳhe sar
jab tere ham-zād se khele dhārā chāñd
maiñ Duubī phir ubhrī āḳhir Duub ga.ī
mauj-e-bahr-e-dard thī aur kinārā chāñd
ras hai mujh ko shab, tanha aawara chand
sartani hun main, mera sayyara chand
in ko sher karun, andar ki baat kahun
mausam raat ghaTa, suraj ek tara chand
main ne jiti ye bazi, hai raat gawah
thak kar palTa chaudhwin shab, phir haara chand
lahron lahron parchhain pamal hui
dekh raha hai hasrat se be-chaara chand
main Thahri man-jogan shab bhar kahe ko
sath mere phirta hai mara mara chand
chaudhwin shab kyun be-kal ho aur paTKHe sar
jab tere ham-zad se khele dhaara chand
main Dubi phir ubhri aaKHir Dub gai
mauj-e-bahr-e-dard thi aur kinara chand
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 402)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.