Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh faede bhi hote hain ujDe makan ke

Ali Raza Baloch

kuchh faede bhi hote hain ujDe makan ke

Ali Raza Baloch

MORE BYAli Raza Baloch

    kuchh fā.ede bhī hote haiñ ujḌe makān ke

    alfāz is meñ gūñjte haiñ raftagān ke

    ai chāñd is meñ terī bhī sāzish zarūr hai

    taare kidhar ga.e haiñ mire āsmān ke

    uḌ jā.egā yaqīn ke piñjre ko toḌ kar

    thoḌe se par nikalne do vahm-o-gumān ke

    ġhazleñ mirī bachā lo bure vaqt ke liye

    alfāz bech Dālnā mujh be-zabān ke

    karbal ret dekh ke itne the mutma.in

    jaise ki muntazir hoñ isī imtihān ke

    ik baar mere lafzoñ ko paḌh kar zabān se

    kirdār zinda kar do mirī dāstān ke

    itnā asar to rakhtī hai maañ du'ā 'alī'

    dekhe haiñ maiñ ne khulte kivāḌ āsmān ke

    kuchh faede bhi hote hain ujDe makan ke

    alfaz is mein gunjte hain raftagan ke

    ai chand is mein teri bhi sazish zarur hai

    tare kidhar gae hain mere aasman ke

    uD jaega yaqin ke pinjre ko toD kar

    thoDe se par nikalne do wahm-o-guman ke

    ghazlen meri bacha lo bure waqt ke liye

    alfaz bech Dalna mujh be-zaban ke

    karbal ki ret dekh ke itne the mutmain

    jaise ki muntazir hon isi imtihan ke

    ek bar mere lafzon ko paDh kar zaban se

    kirdar zinda kar do meri dastan ke

    itna asar to rakhti hai man ki du'a 'ali'

    dekhe hain main ne khulte kiwaD aasman ke

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now