ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chand
ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chand
Badiuzzaman Khawar
MORE BYBadiuzzaman Khawar
ek parī kī zulfoñ meñ yuuñ phañsā huā hai chāñd
ham ko lagtā hai bādal meñ chhupā huā hai chāñd
pahlī shaam nazar aayā thā bilkul aisā jaise nāḳhun
chaudah din meñ dekho kitnā baḌā huā hai chāñd
us ne peḌ se kuud ke jaane kitne ġhote khaa.e
bandar ko jab lagā nadī meñ girā huā hai chāñd
thoḌā sā nīche aa.e to us ko ham bhī chhū leñ
battī jaisā ye jo uupar jalā huā hai chāñd
sach kyā hai ye chāñd pe jā kar kaash ik din maiñ dekhūñ
sab batlāte haiñ patthar kā banā huā hai chāñd
ek pari ki zulfon mein yun phansa hua hai chand
hum ko lagta hai baadal mein chhupa hua hai chand
pahli sham nazar aaya tha bilkul aisa jaise naKHun
chaudah din mein dekho kitna baDa hua hai chand
us ne peD se kud ke jaane kitne ghote khae
bandar ko jab laga nadi mein gira hua hai chand
thoDa sa niche aae to us ko hum bhi chhu len
batti jaisa ye jo upar jala hua hai chand
sach kya hai ye chand pe ja kar kash ek din main dekhun
sab batlate hain patthar ka bana hua hai chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.