Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle

Ahmad Mushtaq

chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle

Ahmad Mushtaq

chāñd bhī niklā sitāre bhī barābar nikle

mujh se achchhe to shab-e-ġham ke muqaddar nikle

shaam hote barasne lage kaale bādal

sub.h-dam log darīchoñ meñ khule sar nikle

kal jin ko tirī palkoñ pe kahīñ dekhā thā

raat usī tarah ke taare mirī chhat par nikle

dhuup sāvan bahut tez hai dil Dūbtā hai

us se kah do ki abhī ghar se na bāhar nikle

pyaar shāḳh to jaldī samar le aa.ī

dard ke phuul baḌī der meñ kar nikle

dil-e-hañgāma-talab ye bhī ḳhabar hai tujh ko

muddateñ ho ga.iiñ ik shaḳhs ko bāhar nikle

chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle

mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle

sham hote hi barasne lage kale baadal

subh-dam log darichon mein khule sar nikle

kal hi jin ko teri palkon pe kahin dekha tha

raat usi tarah ke tare meri chhat par nikle

dhup sawan ki bahut tez hai dil Dubta hai

us se kah do ki abhi ghar se na bahar nikle

pyar ki shaKH to jaldi hi samar le aai

dard ke phul baDi der mein ja kar nikle

dil-e-hangama-talab ye bhi KHabar hai tujh ko

muddaten ho gain ek shaKHs ko bahar nikle

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now