Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bura bure ke alawa bhala bhi hota hai

Anwar Shuoor

bura bure ke alawa bhala bhi hota hai

Anwar Shuoor

burā bure ke alāva bhalā bhī hotā hai

har aadmī meñ koī dūsrā bhī hotā hai

tum apne des sauġhāt ho hamāre liye

ki husn tohfa-e-āb-o-havā bhī hotā hai

muqāble pe kamar-basta ham nahīñ hote

agar shikast ḳhatra zarā bhī hotā hai

tumhāre shahr meñ hai lagā huā varna

musāfiroñ ke liye rāsta bhī hotā hai

vo chehra ek tasavvur bhī hai haqīqat bhī

darīcha band bhī hotā hai bhī hotā hai

ham ai 'shu.ūr' akele kabhī nahīñ hote

hamāre saath hamārā ḳhudā bhī hotā hai

bura bure ke alawa bhala bhi hota hai

har aadmi mein koi dusra bhi hota hai

tum apne des ki saughat ho hamare liye

ki husn tohfa-e-ab-o-hawa bhi hota hai

muqable pe kamar-basta hum nahin hote

agar shikast ka KHatra zara bhi hota hai

tumhaare shahr mein hai ji laga hua warna

musafiron ke liye rasta bhi hota hai

wo chehra ek tasawwur bhi hai haqiqat bhi

daricha band bhi hota hai wa bhi hota hai

hum ai 'shuur' akele kabhi nahin hote

hamare sath hamara KHuda bhi hota hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

bura bure ke alawa bhala bhi hota hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now