apne matlab ke liye had se guzar jate hain
apne matlab ke liye had se guzar jaate haiñ
vā'de kar kar ke yahāñ log mukar jaate haiñ
zinda rahne ke jatan apnī jagah haiñ pyāre
vaqt aa jaa.e to bachte nahīñ mar jaate haiñ
jis ko tūfān se laḌnā hai vo chaTTān bane
ret ke Dher havāoñ meñ bikhar jaate haiñ
tum samajh-dār ho har kaam ko socho samjho
ham to dīvāne haiñ jo Thaan leñ kar jaate haiñ
munfarid tarz pe jiite haiñ ham apnī duniyā
ham jidhar bhiiḌ nahīñ jaatī udhar jaate haiñ
shiddat-e-ġham se nahīñ TūTne vaale ham log
ham udāsī meñ zarā aur nikhar jaate haiñ
'monikā' yuuñ bhī nahīñ rotī kabhī zaḳhmoñ par
is ko mā'lūm hai ik roz ye bhar jaate haiñ
apne matlab ke liye had se guzar jate hain
wa'de kar kar ke yahan log mukar jate hain
zinda rahne ke jatan apni jagah hain pyare
waqt aa jae to bachte nahin mar jate hain
jis ko tufan se laDna hai wo chaTTan bane
ret ke Dher hawaon mein bikhar jate hain
tum samajh-dar ho har kaam ko socho samjho
hum to diwane hain jo Than len kar jate hain
munfarid tarz pe jite hain hum apni duniya
hum jidhar bhiD nahin jati udhar jate hain
shiddat-e-gham se nahin TuTne wale hum log
hum udasi mein zara aur nikhar jate hain
'monika' yun bhi nahin roti kabhi zaKHmon par
is ko ma'lum hai ek roz ye bhar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.