Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhul jate hain taqaddus ke hasin pal kitne

Rafia Shabnam Abidi

bhul jate hain taqaddus ke hasin pal kitne

Rafia Shabnam Abidi

bhuul jaate haiñ taqaddus ke hasīñ pal kitne

log jazbāt meñ ho jaate haiñ pāgal kitne

roz ḳhushbū ke muqaddar meñ rahī ḳhud-sozī

apnī aag meñ jalte rahe sandal kitne

sabz mausam na yahāñ phir se palaT kar aayā

ho ga.e zard mire gaañv ke pīpal kitne

ḳhud-kushī qatl-e-anā tark-e-tamannā bairāg

zindagī tere nazar aane lage hal kitne

bārisheñ hotī haiñ jis vaqt bharī āñkhoñ

raakh ho jaate haiñ jalte hue āñchal kitne

har qadam koī darinda koī ḳhūñḳhār uqaab

shahr god meñ ābād haiñ jangal kitne

be-ruḳhī us rulā.egī lahū kyā 'shabnam'

zaḳhm khāte rahe ham to musalsal kitne

bhul jate hain taqaddus ke hasin pal kitne

log jazbaat mein ho jate hain pagal kitne

roz KHushbu ke muqaddar mein rahi KHud-sozi

apni hi aag mein jalte rahe sandal kitne

sabz mausam na yahan phir se palaT kar aaya

ho gae zard mere ganw ke pipal kitne

KHud-kushi qatl-e-ana tark-e-tamanna bairag

zindagi tere nazar aane lage hal kitne

barishen hoti hain jis waqt bhari aankhon ki

rakh ho jate hain jalte hue aanchal kitne

har qadam koi darinda koi KHunKHar uqab

shahr ki god mein aabaad hain jangal kitne

be-ruKHi us ki rulaegi lahu kya 'shabnam'

zaKHm khate hi rahe hum to musalsal kitne

RECITATIONS

Azra Naqvi

Azra Naqvi,

00:00/00:00
Azra Naqvi

bhul jate hain taqaddus ke hasin pal kitne Azra Naqvi

Source :
  • Book : Mausam bhiigii aa.nkho.n kaa (Pg. 40)
  • Author : Rafia Shabnam Abidi
  • Publication : Hassan Publications, Mumbai (1985)
  • Edition : 1985
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now