Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhole ban kar haal na puchho bahte hain ashk to bahne do

Arzoo Lakhnavi

bhole ban kar haal na puchho bahte hain ashk to bahne do

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    bhole ban kar haal na pūchho bahte haiñ ashk to bahne do

    jis se baḌhe bechainī dil aisī tasallī rahne do

    rasmeñ is andher-nagar na.ī nahīñ ye purānī haiñ

    mehr pe Daalo raat parda maah ko raushan rahne do

    ruuh nikal kar bāġh-e-jahāñ se bāġh-e-jināñ meñ pahuñche

    chehre pe apne merī nigāheñ itnī der to rahne do

    ḳhanda-e-gul bulbul meñ hogā gul meñ naġhma bulbul

    qissa ek zabāneñ do haiñ aap kaho kahne do

    itnā junūn-e-shauq diyā kyuuñ ḳhauf jo thā rusvā.ī

    baat karo ḳhud qābil-e-shikva ulTe mujh ko rahne do

    bhole ban kar haal na puchho bahte hain ashk to bahne do

    jis se baDhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do

    rasmen is andher-nagar ki nai nahin ye purani hain

    mehr pe Dalo raat ka parda mah ko raushan rahne do

    ruh nikal kar bagh-e-jahan se bagh-e-jinan mein ja pahunche

    chehre pe apne meri nigahen itni der to rahne do

    KHanda-e-gul bulbul mein hoga gul mein naghma bulbul ka

    qissa ek zabanen do hain aap kaho ya kahne do

    itna junun-e-shauq diya kyun KHauf jo tha ruswai ka

    baat karo KHud qabil-e-shikwa ulTe mujh ko rahne do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now