Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun

Bahadur Shah Zafar

bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun

Bahadur Shah Zafar

bharī hai dil meñ jo hasrat kahūñ to kis se kahūñ

sune hai kaun musībat kahūñ to kis se kahūñ

jo ho saaf to kuchh maiñ bhī saaf tujh se kahūñ

tire hai dil meñ kudūrat kahūñ to kis se kahūñ

na kohkan hai na majnūñ ki the mire hamdard

maiñ apnā dard-e-mohabbat kahūñ to kis se kahūñ

dil us ko aap diyā aap pashemāñ huuñ

ki sach hai apnī nadāmat kahūñ to kis se kahūñ

kahūñ maiñ jis se use hove sunte vahshat

phir apnā qissa-e-vahshat kahūñ to kis se kahūñ

rahā hai to ġham-ḳhvār ai dil-e-ġham-ghīñ

tire sivā ġham-e-furqat kahūñ to kis se kahūñ

jo dost ho to kahūñ tujh se dostī baat

tujhe to mujh se adāvat kahūñ to kis se kahūñ

na mujh ko kahne tāqat kahūñ to kyā ahvāl

na us ko sunñe fursat kahūñ to kis se kahūñ

kisī ko dekhtā itnā nahīñ haqīqat meñ

'zafar' maiñ apnī haqīqat kahūñ to kis se kahūñ

bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun

sune hai kaun musibat kahun to kis se kahun

jo tu ho saf to kuchh main bhi saf tujh se kahun

tere hai dil mein kudurat kahun to kis se kahun

na kohkan hai na majnun ki the mere hamdard

main apna dard-e-mohabbat kahun to kis se kahun

dil us ko aap diya aap hi pasheman hun

ki sach hai apni nadamat kahun to kis se kahun

kahun main jis se use howe sunte hi wahshat

phir apna qissa-e-wahshat kahun to kis se kahun

raha hai tu hi to gham-KHwar ai dil-e-gham-ghin

tere siwa gham-e-furqat kahun to kis se kahun

jo dost ho to kahun tujh se dosti ki baat

tujhe to mujh se adawat kahun to kis se kahun

na mujh ko kahne ki taqat kahun to kya ahwal

na us ko sunne ki fursat kahun to kis se kahun

kisi ko dekhta itna nahin haqiqat mein

'zafar' main apni haqiqat kahun to kis se kahun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Mehran Amrohi

Mehran Amrohi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now