bhaDka rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum
bhaḌkā rahe haiñ aag lab-e-naġhmagar se ham
ḳhāmosh kyā raheñge zamāne ke Dar se ham
kuchh aur baḌh ga.e jo añdhere to kyā huā
māyūs to nahīñ haiñ tulū-e-sahar se ham
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuuñ dekheñ zindagī ko kisī kī nazar se ham
maanā ki is zamīñ ko na gulzār kar sake
kuchh ḳhaar kam to kar ga.e guzre jidhar se ham
bhaDka rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum
KHamosh kya rahenge zamane ke Dar se hum
kuchh aur baDh gae jo andhere to kya hua
mayus to nahin hain tulu-e-sahar se hum
le de ke apne pas faqat ek nazar to hai
kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum
mana ki is zamin ko na gulzar kar sake
kuchh KHar kam to kar gae guzre jidhar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.